Tuesday, July 8, 2008

Gham

yeh soch ker k gham k kharidar aagaye
hum khwaab baichney sar-e-bazar aagaye

yusaf na thay magar sar-e-bazar aagaye
khushfehmiyaN yeh theeN k kharidar aagaye

ab dil maiN hoslaa na sakat bazoowoN main hai
ab k muqablay pay marey yaar aagaye

aawaz day k zindagi her baar chup gaee
hum aisay sada dil thay k her baar aagaye

sooraj ki roshni pay jinhaiN naz tha bouhat
woh bhi to zair-e-sayaaye deewar aagaye

No comments: